Biography :

Hazrat Allama Mufti Sayyed Ghulaam Jeelaani Meeruti rahmatullāhi alaihi :

♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦


Alqaab :

‾‾‾‾‾‾‾‾

Sadr-ul-Ulama, Imaam-un-Nahw, Fakhr-ul-Mutakallimeen.


****************

Aap ki wilaadat 11 Ramazaan 1317 Hijri (13 January 1900 A.D.) ko Dadon (Zila Aligarh) me hui.


****************

Aap ke waalid ka naam Sayyed Ghulaam Fakhr-ud-deen bin Allama Sakhawat Husain Fakhri Sulaimāni hai.


****************

4 saal 4 mahine aur 4 din ki umr me Aap ki Bismillāh khwani ki gai.


Qur'ān ki ta’aleem haasil karne ke baad Aap ke chacha Qutb-ud-deen ne Madarsa Anjuman-e-Ahle Sunnat, Muradabad me daakhil kiya. Yaha Aap ne Hazrat Sadr-ul-Afaazil Allama Maulana Sayyed Muhammad Naeem-ud-deen Muradabadi rahmatullāhi alaihi se Aamad naama (Faarsi) aur Kaafiya ki ta’aleem haasil ki. Har roz Namaaze Fajr ke ba’ad Aap Kaafiya ka ek sabaq yaad karte aur Zohar tak Aap us sabaq ko hifz kar lete.


1342 Hijri (1923 A.D.) me Agra me bad-mazhab ke ek giroh ne logo ko galat aqaa'id  sikhana shuru kiya to Bareilly se Jama’at-e-Raza-e-Mustafa ki jaanib se Hazrat Qaazi Shaah Sadr-ul-Haq Naeemi, Hazrat Sadr-ul-Afaazil Maulana Sayyed Muhammad Naeem-ud-deen Muradabadi aur Hazrat Mufti Muhammad Ajmal Shaah Sambhali Agra tashreef le gaye. Is ke baad Aap apne 6 saathiyo ke saath Ajmer tashreef le gaye aur Daar-ul-Khair, Ajmer me Allama Imtiyaaz Muhammad Ambethawi se Sharh Jaami ki ta’aleem haasil ki. Allama Haafiz Sayyed Haamid Husain Ajmeri ne ek imtihaan me aap ki zahaanat aur qaabiliyat dekhkar Aap ko ‘Haashiyah al-Shaikh-ul-Hanafi’ kitaab di. Phir Aapne Allama Haafiz Sayyed Haamid Husain Ajmeri se Nafahat al-Yameen, Sab'e Mu'allaqat, Deewaan-e-Mutanabbi, aur Deewaan-e-Hamasa padhi aur Qatr-al-Nada bhi padhi. Pehle saal ke imtihaan me kaamyaabi ke baad mazeed 8 saal ta’aleem haasil karne ke ba’ad Aap ko Dastaare Fazeelat ata ki gai. Mumtahineen me se ek hazrat ne Aap ko maahaana wazeefa dene ki bhi darkhwaast ki. Lekin Aap ko kisi zaati wajah se waha se rukhsat hona pada.


Phir Aap ne Manzare Islaam, Bareilly me Hazrat Hujjat-ul-Islaam Maulana Muhammad Haamid Raza Khan rahmatullāhi alaihi ki nigraani me Sharh-e-Chaighmini, Muhaqqiq-e-Dawwani, Sharh-e-Tajreed aur Aala Hazrat ki chand kitaabo ki ta’aleem haasil ki. 1352  Hijri me Aap ko Dastaare Fazeelat ata ki gai.


In ke ilaawa Aap ne Hazrat Sadr-ush-Shariah Allama Mufti Amjad Ali Aazmi, 

Allama Mufti Abdul Azeez Khan Fatehpuri, Allama Hakeem Sayyed Abdul Majeed, Allama Abdul Haaji Isfahani, Allama Abdullāh Isfahani, Allama Sayyed Ameer Ajmeri, Allama Sayyed Barkat Ahmad Tonki aur Allama Qaari Ghulaam Nabi Tonki se ta’aleem haasil ki.


****************

Safar 1342 Hijri (1922 A.D.) me Urse Razawi ke mauqe par Aap Hazrat Sayyed Shaah Ali Husain Ashrafi Miyan Kichhauchhawi rahmatullāhi alaihi ke mureed hue. 12 Zil Hijjah 1350 Hijri ( 1930 A.D.) ko Daar-ul-Khair, Ajmer me Hazrat ne Aap ko khilaafat ata farmai.


****************

Aap aalime ba-amal the aur hamesha saadgi aur narmi pasand farmaate the. Kabhi bhi mal o daulat, martaba ya shohrat ki khwahish nahi rakhte the.


Aap jayyad aalim, soofi, khateeb, mudarris, musannif aur munaazir the.

Aap ne puri zindagi Ahle Sunnat wal jama’at ki azeem khidmat ki.

Puri zindagi dars o tadrees aur rushd o hidayat karte rahe. Aap kai masaajid ke naazim wa mohtamim the. Aap ne deen ki khidmat aur isha’at ke liye kai maqaamaat ka safar bhi kiya. Kai jalso me Aap ne shaandaar khitaab farmaaya hai. Bad-mazhabo ke galat aqaa'id ko radd kiye aur logo ko unse door rehne ki taaqeed farmai. Logo ko ishq aur adab ke saath Sunnate Rasool  apnaane ki aur shariat ki paabandi ki taaqid farmai. Aap ke pur aṡar wa’az o taqreer aur ta’aleem wa tasannif ke zariye beshumaar logo ne hidayat paai.

Aap ne apni ta’aleem, tadrees wa tarbiyat se talba ko bhi aala darje ke aalim banaaye aur wo sache muslim ka namoona ban gaye aur unho ne bhi khidmate deen ka kaam jaari rakha.


Aap ke mash'hoor shaagird :

Hazrat Allama Nizaam-ud-deen Ilahabadi, Allama Mufti Sharif-ul-Haq Amjadi, Allama Shaah Ahmad Nooraani, Allama Tauseef Raza Khan Bareilwi, Allama Mufti Qaari Ahmad Hasan Sambhali, Allama Muhammad Husain Bharuchi, aur Allama Rahmatullāh Balrampuri.


****************

Tasannif :

‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾ 

Aap ki likhi hui mash'hoor kitaaben :

(1) Basheer-ul-Qaari : Sharh Saheeh al-Bukhari,

(2) Al-Basheer : Sharh Nahw Meer,

(3) Al-Basheer-ul-Kaamil : Sharh Mi'ata Aamil,

(4) Basheer-un-Naajiyah : Sharh Kaafiyah, 

(5) Nizaam-e-Shariat.

(6) Saheeh-un-Nazar fee Su'ood-ul-Qamar

(7) Tabsara-e-Aijaaz bar Tanqeed Sarfaraaz

(8 ) Saheeh-ul-Maslak fee Ma’ana Kullun fee Falak

(9) Tashkeel-ul-Mazhabain fee Hukm-e-Raf'a-Yadain

(10) Masraf Charm-e-Qurbaani.


****************

Karaamat :

‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾

Aap Khair-ul-Masjid ke Imaam aur Yateem-khaana ke Naazim the. Yateem-khaana Khair-ul-Masjid ke muttasil tha aur Yateem-khaana ka darwaaza Khair-nagar bazaar ki taraf tha. Talba ko aane jaane me aasaani ho is liye masjid aur Yateem-khaana ke bich ki deewaar me ek darwaaza banaane ka tay hua. Kuchh wahaabiyo ko pata chala to unho ne ek mistri [mason] ko bulaaya. Jab deewaar me darwaaza ban gaya to unho ne us darwaaze ki jagah phir se deewaar bana di. Munshi Haafizullāh ne Maulana Qaari Muhammad Yusouf Lunwi ko Aap ke paas bheja. Aap us waqt school me the. Jab Maulana Muhammad Yusouf Lunwi ne Aap ki khidmat me haazir hokar yeh baat batai to Aap foran khade hue aur khirqa pehna aur apna asaa lekar riksha me baithkar masjid me pahunche aur us deewaar ke paas khade hokar usko takne lage. Aap ke jalaal se woh deewaar toot gai. Wahaabiyo ne dobaara waha deewaar bana di. Aap ne phir se us deewaar ko dekha to woh toot gai. Wahaabiyo ne phir se waha deewaar bana di. Aap ne phir se us deewaar ko dekha to woh toot gai. Jab teesri baar deewaar toot gai to wahaabi darkar bhaag gaye.


****************

Aap ke saahabzaade Hazrat Allama Sayyed Muhammad Irfaani Miyan hain.


****************

Aap Hazrat Sayyed Shaah Ali Husain Ashrafi Miyan Kichhauchhawi rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.


****************

Aap ka wisaal 29 Jamaadi-ul-Awwal 1398 Hijri (8 May 1973 A.D.) ko baroz Peer subah 4 : 10 baje hua.


****************

Aap ka mazaar Madrasa Islaamiya Arabiya, Iderkot, Meerut (Uttar Pradesh) me hai.


****************

Mazeed Posts ke liye Website dekhen :

(For more posts Visit this website) :


http://fikreummat.net/


****************

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me

Aur Hazrat Sadr-ul-Ulama Allama Mufti Sayyed Ghulaam Jeelaani Meeruti rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait ke waseele se

Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae.

Aur Sab ko duniya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.

Aameen.

Pir o Murshid :


Silsila :


Khulafas :


FAQ :